Rishtey
Kaise ajeeb hote hai yeh rishtey..
Iss duniya mein aate hi
hum rishton ki jaal mein kho jaate hai
Yeh rishte hum nahi chunte
virasat mein paaye jaate hai
Jaise umar badhti hai
har rishte ke maeene badal jaate hai
Dosti ka rishta hum chunte hai
aur nadaan umar mein bane dost
zindage bhar saath hote hai
Insaan akele nahi reh pata
isiliye koi saathi ki talaash karta hai
Kai logon se milta hai aur har kisise
insaniyat ka nata jud jata hai
Rishte ulajh jaate hai
aur naate bigad jaate hai
Naye rishte bante bante purane choot jaate hai
Umeedein naa rakhne se rishte bhi
zindagi bhar ke liye saath reh jaate hai.......
- (28th Oct 09)
Iss duniya mein aate hi
hum rishton ki jaal mein kho jaate hai
Yeh rishte hum nahi chunte
virasat mein paaye jaate hai
Jaise umar badhti hai
har rishte ke maeene badal jaate hai
Dosti ka rishta hum chunte hai
aur nadaan umar mein bane dost
zindage bhar saath hote hai
Insaan akele nahi reh pata
isiliye koi saathi ki talaash karta hai
Kai logon se milta hai aur har kisise
insaniyat ka nata jud jata hai
Rishte ulajh jaate hai
aur naate bigad jaate hai
Naye rishte bante bante purane choot jaate hai
Umeedein naa rakhne se rishte bhi
zindagi bhar ke liye saath reh jaate hai.......
- (28th Oct 09)
Finally, a poem that I can fully appreciate! Its in Hindi you see. Just kidding! Please don't be offended. This one is nice too!
ReplyDelete