Nasamajh mein
Apni umar se badi baatein sochi
kisi santt mein ho utna dhiraj rakha
mushkilon mein saath diya
har kadam par tumhara haath thama
aur tum kehte ho ki nasamajh hoon mein
Tumhari baatein suni, kuch maani
har sawal ka jawab dhunda
kai baar aansu bhi pee liye
kadam ladkhadye par himmat na haari
phir bhi na jaane kyun nasamajh hu mein
Kahan aur kaise milegi yeh samajhdari
ya kuch aur saalonka tajurrba lagega
afsoos karu apni naadani par
ya aise hi ji loon apni zindagi
kyonki itni bhi nasamajh nahi mein.
- Mayura
21 Jan 11
Comments
Post a Comment